Cricket kab paida hua, kab jawaan hua aur kab mar gaya…

cricket-724616_640Test cricket England main paida hua, Australia main jawaan hua aur India ke foreign Tests main mar gaya.

ODI cricket England main paida hua, India main jawaan hua aur phir England main gharwaapsi karke mar gaya.

T20 cricket England main paida hua, India main jawaan hua aur phir IPL main dher saara paise daalke ventilator aur oxygen pe jee raha hai.

First Class cricket kab paida hua, kab jawaan hua aur kab mar gaya ye kisi ko ab tak pata nahin.

Women’s cricket England main paida hua, kabhi kabhi TV World Cup coverage pe jeeta hai aur generally mara pada rahata hai.

Cricket England main Gentleman’s Game bana, Australia main Sledger’s Delight hua aur India main aake Corrupt Crorepati bana aur woh gentleman kab ka mar chuka hai.

These versions by Sunil Rajguru