Thak Thak Chutkule

(Knock Knock Jokes in Hindi)

Thak Thak!
Kaun hain bhaaya?
China.
China kaun?
Chai na pilaya Beijing ne, bus pani hi pilate rahate hain, pani.

Thak Thak!
Kaun hain bhaaya?
Hambani.
Hambani kaun?
Hum bhai nahin rahe, dushmano ki tarah lad rahe hain.

Thak Thak!
Kaun hain bhaaya?
Shah Rukh.
Shah Rukh kaun?
“Shah Rukh Kaun” uska naam ho jayega agar jaldi hit nahin diya aur controversies se bahar nahin aaya to.

Thak Thak!
Kaun hain bhaaya?
K… K… K… K…
K… K… K… K…kaun?
Arre aap bhi meri tarah haklate hain kya?

Thak Thak!
Kaun hain bhaaya?
Kambli.
Kambli kaun?
Arre kya sawal karte ho, BCCI ke aadmi ho kya?

Thak Thak!
Kaun hain bhaaya?
Sach.
Sach kaun?
Sach ka Samna kar sakte ho to andar aa jata hu.

Thak Thak!
Kaun hain bhaaya?
Bhagwan.
Bhagwan kaun?
Arrre Bhagwan ko nahin jaante? Nastik ho kya?

Thak Thak!
Kaun hain bhaaya?
Andar.
Andar kaun?
Arre muje kya maloom. Main to bahar hu. Aap ko maloom hona chahiye andar kaun hain.

Thak Thak!
Kaun hain bhaaya?
Ghanti.
Ghanti kaun.
Ghanti lagado bhaaya, to ye thak thak se bach jaayenge.

Thak Thak!
Kaun hain bhaaya?
…..
Kaun hain bhaaya?
…..
Kaun hain bhaaya?
…..
(Koi nahin, bus hawa chal rahi thi)

Thak Thak!
Kaun hain bhaaya?
Bhaaya.
Bhaaya kaun?
Pata nahin bhaaya, tum hi bhaaya bhaaya karte rahate ho, bhaaya.

© Sunil Rajguru