Modern bakwaas shayari…

Hum bhi kabhi sub-editor the,
Kanimozhi bhi kabhi sub-editor thi!
Hum hain gareeb par azaad,
Woh hain Arabpati magar qaid…
Chalo, filaal yahi sahi!

Ghalib bhi shayar tha,
Kanimozhi bhi shayar kahalati,
Ghalib aur shayari dono gaye tel lene,
Ab paisa hi kavita hain…
Paisa hi nagma hain…
Paisa hi shayar hain…
Paisa hi shayar ki shayari…

Waise sabsa bada ameer to hain Mahatma Gandhi,
Lakhon nahin…
Crore-o nahin…
Arabo nahin…
Kharabo ke note-o ke dher pe muskura rahe hain,
Note gora ho ya kaala,
Paise ka hain bol baala!

This version by Sunil Rajguru