Thak Thak Chutkule 7

Thak Thak.
Kaun hai bhaaya?
Zardari.
Zardari kaun?
Zara dar gaya tha bechara ki
military coup hoga, ab theek lag raha hai.

Thak Thak.
Kaun hai bhaaya?
Telangana.
Telangana kaun.
Telan…gaana gaa rahi hain Maya, aur do tukde nahin, chaar chahati hai!

Thak Thak.
Kaun hai bhaaya?
2G ka paisa khaaya.
2G ka paisa khaaya kaun?
Hahahaha… aise sawal mat pooch jiska koi jawab nahin, ye scam aur cases aur bahut saal chalne waale hai.

Thak Thak.
Kaun hai bhaaya?
Rockstar.
Rockstar kaun?
Rocks stars pe pheko, dher saare, ek ek karke, sab paisa bataurne main lage hue hain, koi achha film nahin bana raha hai aaj kal…

These versions by Sunil Rajguru