The Facebook Champi Song

(Please sing to the tune of Pyaasa’s Sar Jo Tera Chakraaye, made immortal by the sublime Johnny Walker)

Sar jo tera chakraye,
Ya dil dooba jaaye,
Aaja pyaare paas hamare,
Kaahe ghabraye,
Kaahe ghabraye.

Site mera hai masti,
Duniya ka No. 3 basti,
Jis ke dil main jadu phira doon,
Hardam timewaste ho uski.

Sun sun sun, arre beta sun,
Is Facebook main bade bade gun,
Sun sun sun, arre beta sun,
Is Facebook main bade bade gun,

Lakh comments ka ek tareeka hai,
Kyu na aazmaye, kaahe ghabraye.

Life jo tera chakraye,
Ya career dooba jaaye,
Aaja pyaare login karle, kaahe ghabraye.

Pyar ka hove jhagda,
Ya office ka non-stop ragda,
Sab lafdon ko public kare jab,
Limelight milega tagda.

Sun sun sun, arre beta sun,
Is Facebook main bade bade gun,
Sun sun sun, arre beta sun,
Is Facebook main bade bade gun.

Lakh comments ka ek tareeka hai,
Kyu na aazmaye, kaahe ghabraye.

Naukar ho ya malik,
Leader ho ya public,
Apne aage sabhi jhuke hain,
Ab raj karega Facebook.

Sun sun sun, arre beta sun,
Is Facebook main bade bade gun,
Sun sun sun, arre beta sun,
Is Facebook main bade bade gun.

Lakh comments ka ek tareeka hai,
Kyu na aazmaye, kaahe ghabraye.

This Spoof By Sunil Rajguru

(Original Song: Sar Jo Tera Chakraaye
Film: Pyaasa
Year: 1957)

AG OG Lo-G 2G!

Please sing to the tune of My Name is Lakhan

Rum pum pum rum pum pum rumpa pupam pum pum…
AG OG Lo-G 2G!
Main hu Raja of 2G,
Karta hu main jo wo tum bhi karo ji,
1 2 ka 4, 4 2 ka 1,
My name is dhakkan, my name is dhakkan,
Spectrumo ka sajan,
Mera naam hai dhakkan.

Spectrum chakori, paisa hai license,
Suli pe latka hain har ek operator,
Sabke gale main.. Sabke gale main… Maya ka mala,
Seekho o yaaron inse ye dhanda, inse yeh dhanda.

Do saal seedhe bas delay kar ke, har spectrum becho jyaada bol ke,
Har spectrum becho jyaada bol ke,
Main apni khaali jebe bharu ji,
Karta hu main jo wo tum bhi karo ji,
1 2 ka 4, 4 2 ka 1,
1 2 ka 4, 4 2 ka 1,
My name is dhakkan, my name is dhakkan,
Spectrumo ka sajan,
Mera naam hai dhakkan.

Main kuchh na jaanu is-se jiyada,
Ye mera ministry, main iska dada,
Politics nahi itna seedha sadha,
Kaise karu kisi se bhi koi vaada?
Vaade hain jhuthe, paise sachhe ho tum,
Jaise bhi ho bade achhe ho tum,
Bade achhe ho tum…

Kehna coalition partners ka tum maan lo,
Achha bura hain tum kya jaano?
Tum kya jaano?
Kehta hu main jo wo tum bhi suno ji,
Maine suna nahi phir se kaho ji,
Nahi Number 2 koi dono ho number ho,
Main hu dhakkano ka dhakkan,
Spectrumo ka sajan, jiyo dhakkan dhakkan,
jiyo dhakkan dhakkan…

Spoof By Sunil Rajguru

(Original Song: My Name is Lakhan
Film: Ram Lakhan
Year: 1989)

Some twisted and contemporary rhymes…

Rain rain don’t go away,
and still come again another day,
keep at it if you may,
I never believed in making hay…

Baar Baar Khelo,
Hazaar Baar Khelo,
Ki Khelne Ki Cheez Hai,
Indo-Lanka match,
What Ho?

(India, Lanka are almost a couple in cricket now)

Dum dum digga digga,
sab kuch digga digga,
road repair digga digga,
phone cables digga digga,
storm water drains digga digga,
Metro Rail digga digga,
main to gira,
main to gira hai….

(Almost fell into a digging zone today. Ye furious digging kab tak chalega???)

Kadam kadam badaye ja,
Chappal aur joote barsae ja,
Politicians ki band bajaye ja,
Ye corrupt hain politicians sab,
Tu politicians pe joote barsae ja…

Tu mera,
tu mera,
tu mera,
tu mera…
tu mera
Hero H1N1

This Version By Sunil Rajguru

Indian cricket ka safar hai ye kaisa safar

Please sing to the tune of Zindagi ka safar from the movie Safar

Indian cricket ka safar hai ye kaisa safar,
koi samjha nahin koi jaana nahin,
hai ye kaisa cricketer, dekhte hain sab magar,
koi samjha nahin, koi jaana nahin.

Indian cricket ko bahut pyaar hamne kiya,
haar se bhi mohabbat nibhaaenge hum,
rote rote zamaane mein aaye magar,
rote rote hi stadium se jaaenge bhi hum,
jaaenge par kidhar hai kise ye khabar,
koi samjha nahin koi jaana nahin.

Aise victories bhi hain jo jeete hi nahin,
jinko jeetne se pehle hi haar hi gaye,
careers aise bhi hain jo khile hi nahin,
jinko khilne se pehle fiza kha gaye,
hai pareshaan har, thak gaye spectator,
koi samjha nahin koi jaana nahin.

Spoof by Sunil Rajguru

(Original Song: Zindagi ka safar hai ye kaisa safar
Film: Safar
Year: 1970)

Ye IPL kab mujhe chhodega…

Nowadays the IPL is to blame for everything. The BCCI’s mess. The UPA government’s performance. Shashi Tharoor’s career. NCP’s discomfort. … India’s humiliating World Cup loss. Tomorrow it will be blamed for international terrorism and global warming too…

Please read to the tune of Ye lal rang kab mujhe chhodega

Ye IPL…

Ye IPL kab mujhe chhodega.

Ye IPL kab mujhe chhodega,
Ye IPL kab mujhe chhodega,
Mera game kab talak mera dil todega,
Ye IPL kab mujhe chhodega.

Kisi problem ka bhi liya naam to aaya yaad tu hi tu,
Kisi problem ka bhi liya naam to aaya yaad tu hi tu,
Ye to paisa haraam ka ban gaya he lahu,
Ye IPL kab mujhe chhodega.

Khelne ki waat hi laga di, ab khelunga kis tarah,
Khelne ki waat hi laga di, khelunga kis tarah,
Ye na socha tune yaar, world cup jeetunga kis tarah,
Ye IPL kab mujhe chhodega.

Chala jau kahi chhod ke mein tera ye IPL moolah, haan
Chala jao kahi chod ke mein tera ye IPL moolah,
Na to yaha amrit mile peeneko na zehar,
Ye IPL kab mujhe chhodega.

Mera game kab talak ho, mera dil todega,
Ye IPL kab mujhe chhodega…

Spoof By Sunil Rajguru

(Original Song: Ye lal rang kab mujhe chhodega
Film: Prem Nagar
Year: 1974)

1000 corrupt politicians sitting on the wall…

1000 corrupt politicians sitting on the wall,
1000 corrupt politicians sitting on the wall,
And if one corrupt politician should accidentally fall,
There’ll be 1001 corrupt politician sitting on the wall.

1001 corrupt politicians sitting on the wall,
1001 corrupt politicians sitting on the wall,
And if one corrupt politician should accidentally fall,
There’ll be 1002 corrupt politician sitting on the wall.

1002 corrupt politicians sitting on the wall,
1002 corrupt politicians sitting on the wall,
And if one corrupt politician should accidentally fall,
There’ll be 1003 corrupt politician sitting on the wall…

Notes:

1. For every corrupt politician who is exposed or caught in India, two take his place thereafter.
2. India has been playing this game since 1947.
3. If you pay good salaries, you may or may not get corrupt politicians.
If you pay abysmally low salaries, you will definitely get near 100% corruption.
Our founding fathers chose the second option.
Post-1991, the private sector is competing with the world, while the average Indian politician compares nowhere with his Western counterpart.
4. If you pay peanuts, you get monkeys.
If you pay peanuts to politicians, then you get a monkey political system where the common man ends up being the real monkey.

This Version By Sunil Rajguru