The truth about voting and party symbols…

Desh ne Panja ko vote diya.
Panja ne desh ko thappad maara.

Desh ne Kamal ko vote diya.
Kamal murjha gaya, keechad keechad raha.

State ne Haathi ko vote diya.
Haathi ne
state ko kuchal daala.

State ne Laaltein ko vote diya.
Satta main aate hi Laaltein bujh gaya.

State ne Teer ko vote diya.
Teer ne aam nagrik ko apna nishana banaya.

State ne Bicycle ko vote diya.
Bicycle ki tarah saare neta chod ke chal diye.

State ne Ghadi ko vote diya.
Ghadi satta main aate hi band ho gayi.

State ne Hammer & Sickle ko vote kiya.
Hammer ne sab ko thoka, Sickle ne progress ko hi kaat ke rakha…

© Sunil Rajguru