How Mere paas maa hai works in almost every Bollywood film

The dialogue from the film Deewar is so powerful, that it can almost be used in any Bollywood movie…

Deewar (The original)
Amitabh Bachchan: Mere paas gaadi hai, bangla hai, bank balance hai… tumhare paas kya hain?
Shashi Kapoor: Mere paas maa hain!

Paa
Abhisheik Bachchan: Mere paas gaadi hai, bangla hai, bank balance hai, political status hai… tumhare paas kya hain?
Amitabh Bachchan: Mere paas maa hain!

Om Shanti Om
Arjun Rampal: Mere paas gaadi hai, bangla hai, bank balance hai, Hollywood career hai… tumhare paas kya hain?
Shahrukh Khan: Mere paas pichhle janam ki maa hain!

Kabhi Khushi Kabhie Gham…
Shahrukh Khan: Mere paas gaadi hai, bangla hai, bank balance hai, London main business hai… tumhare paas kya hain?
Amitabh Bachchan: Mere paas tumhari maa hain!

Mother India
Sunil Dutt: Mere paas ghoda hain, bandook hain, power hai, paisa hai, gang hai, tumhare paas kya hain?
Rajendra Kumar: Mere paas maa hai!

3 Idiots
Aamir Khan: Mere paas.. maa nahin hai!
Kareena Kapoor: Mere paas… bhi maa nahin hai!
Aila ye kaisi movie hai!


Ghajini

Aamir Khan: Mere paas gaadi, bangla, bank balance… hain kya? Bhool gaya!
Aamir Khan again: Mere paas maa… hain kay? Bhool gaya!

Fictional Saas-bahu movie…
Pati: (Krodhit ho ke) Mere paas gaadi hai, bangla hai, bank balance hai… tumhare paas kya hai?
Patni: (Ro ro ke) Mere paas tumhari maa hai!

These versions by Sunil Rajguru

Spotted on a Facebook Deewar

Mere paas gadi hai, bangla hai, bank balance hai… tumhare paas kya hai?
Mere paas Facebook account hai.

Followed by…

Bhai tum login karoge ya nahi?
Haan, main login karoonga, lekin main akela login nahi karoonga… main sabse pehle login nahi karoonga…. jao pehle us aadmi se login karao, jisne mere baap ko Facebook addict banaya tha; pehle us aadmi se login karao jisne meri maa ko Orkut par anshan comments likhe the aur har ek social networking site se nikal diya tha; pehle us aadmi ka login karao jisne mere haath pe ye ye (“Mera baap Facebook addict hai”) likh diya tha. Uske baad… uske baad, mere bhai, tu jitne baar Facebook pe login karne ko bolega, main karunga…

(This Version: Sunil Rajguru)