Jab MF Hussain sahab zinda the…

Jab zinda hain to joote pheko, jab mare to maala pahanao tasveer ko,
Jab zinda hain to nautanki artist, jab mare to sirf hamra Picasso,

Jab zinda hain to parties chup, jab mare to dukh khed aur Bharat Ratna ki baat,
Jab zinda hain to anti-national, jab mare to true Indian and Hindu to boot,

Jab zinda hain to har cheez galat, jab mare to har cheez sahi,
Life hi hain sabse badi galti, maut se badkar koi cheez nahin.

© Sunil Rajguru

Leave a Reply