Ghungroo ki tarah bajta raha Indian batsman…

Indian batsmen are having a really torrid time on foreign pitches.

Please sing to the tune of Ghungroo ki tarah from the film Chor Machaye Shor.

Ghungroo ki tarah,
Bajta hi raha hoon main,
Kabhi is pitch pe,
Kabhi us pitch pe,
Wicket girta hi raha mera…
Ghungroo ki tarah,
Bajta hi raha hoon main.

Kabhi wicket toot gaya,
Kabhi bouncer se toda gaya,
Sau baar mujhe,
Phir joda gaya,
Yuhi out ho ke aur phir wicket pe aake,
Khelta hi raha hoon main,
Ghungroo ki tarah,
Bajta hi raha hoon main.

Main darta raha,
Mere teammates ki tarah,
Meri technique mere,
Mann hi me rahi,
Kabhi England main,
Kabhi Australia main,
Peet-ta hi raha hoon main,
Ghungroo ki tarah,
Bajta hi raha hoon main.

Pace attack se dare,
Ya spin bowling se,
Cricket ball ki jagah,
To hai teen stumps pe,
Phir kaisa gila,
Foreign pitches se jo mila,
Sahta hi raha hoon mein,
Ghungroo ki tarah
Bajta hi raha hoon main…

(Original Song: Ghungroo ki tarah.
Film: Chor Machaye Shor.
Year: 1974)

This Spoof by Sunil Rajguru

Leave a Reply