Fix kare ya na kare ye kaisi mushkil hai,
Koi to bata de iska hal o mere bhai,
Ki ek taraf to paise se pyaar kare hum,
Aur game ko khelne se darrein hum.
Roz roz hum sochta yahi,
Aaj humko chance mil jaaye kahin,
To aisa khelega saala vaisa khelega,
Khullam khulla bat aur ball pe hamla karega,
Par jab rokda saamne chamakti hai,
Saans hi atakti hai,
Aur ye ball jaati hai fisal,
Fix kare ya na kare ye kaisi mushkil hai,
Koi to bata de iska hal o mere bhai,
Ki ek taraf to paise se pyaar kare hum,
Aur game ko khelne se darrein hum.
Koi badi baat nahin humein fix karna tha jo bhi,
Vo to hum yoohi karte magar,
Phir bhi kaha nahin vajah iski hai yehi,
Bas garibi se humko hai darr,
Ab fixing ka paisa chhode ya na chhode,
Fixing ko haan kahe ya na kahe,
Soch soch main hi match gayi nikal…
Fix kare ya na kare ye kaisi mushkil hai,
Koi to bata de iska hal o mere bhai,
Hey bhai mere bhai,
O mere bhai,
Hey bhai mere bhai
O mere bhai.
(Ab “bhai” hi batayega iska hal!)
.
(Original Song: Kya Kare Kya Na Kare
Film: Rangeela
Year: 1995)