Main politician to nahin…

(Original Lyrics: Main shaayar to nahin, magar ae haseen jab se dekha maine tujhko, mujhko shaayari aa gayi…
Song: Main shayar to nahin. Film: Bobby. Year: 1973.)

Now Kanimozhi was a shaayar to begin with. So how did she enter politics?
Her take…
Main politician to nahin, magar ae haseen rokda jab se dekha maine tujhko, mujhko politics aa gayi…

Manmohan’s take…
Main politician to nahin, magar ae kambakht Raja ko jabse dekha, mujhko politics aa gayi…

Anna’s take…
Main politician to nahin, magar ae haseen andolan aur mauka jab se dekha maine tujhko, mujhko politics aa gayi…

Diggy Raja’s take…
Main spokesperson to nahin, magar ae Congress bachane ka bhoot ka virus jab se dimaag main ghusa, mujhko verbal diarrhoea aa gayi…

Rahul…
Main politician to nahin, magar kya karu, mere DNA main hain, politics aaye ya na aaye, ek din to pradhan mantra ban-na hi padega! Meri duvidha samjha karo bhai log!

Advani…
Main pradhan mantri to nahin, magar marte dum tak pradhan mantrigiri jaayegi nahin…

Maya…
Ye koi maya to nahin, par jabse maine pradhan mantri ki kursi ko dekha, aur kuch dikhai deta hi nahin…

Sonia…
Na main politician hu, na main shaayar hu, bus ek behind the scenes player hu…

Chidambaram…
Main politician to nahin, magar ae Subramanian Swamy ko jab se dekha, lagta hai ki bachi kuchi politics bhi chali jaayegi…

Pawar…
Main politician to nahin, main billionaire bhi nahin, main BCCI main bhi koi nahin, in fact main kuch bhi nahin…

These versions by Sunil Rajguru

Leave a Reply